...is "Celebrating (un)Common Creativity!" Fan fiction, artworks, extreme genres & smashing the formal "Fourth wall"...Join the revolution!!! - Mohit Trendster

Wednesday, May 25, 2011

Ichchayein tatha Mulyavaan Jeevan







Ichahayein Insaan ki Anduruni Soch ka Darpan hoti hain….Zindagi ki raah ko Sampoorna Gati se chalate rehne ke liye…….Ichchao ka Poshit hona bahut jyaada jaroori hai……Ichahao ka koi rang….Roop nahin hota……..aur Naa hi Woh Koi Seemayein Maanti hain……woh toh Aazaadi ki tarango mein Jhoolti……..Madbhari…..Gati se Idhar se udhar hitchkole khaati huyi firti rehti hain.

Insaan ka Jeevan ek Mushqil dagar par hamesha chalta rehta hai…….Jiski har chaal par usse kahin khushi milti hai…….aur kahin Udaasi…………kahin Nafrat toh kahin pyaar.

Saamajik Praani hone ki wazah se Insaan ko Apne andar Zindagi Jeene kio dridhta….ka prasaar karne ke liye…….kisi Naa kisi sahare ki bahut jaroorat hoti hai…….Yeh sahara bhi Ichahao ka hi Ek mila jula Sammilit roop hota hai……..Jisme Kai tarah ki alag-alag choti-choti Baaton ka Sahara lekar……koi insaan aage badhta jaata hai.

Kai baar Jeevan mein achanak se Vipreet paristhtiyo……se bhi Insaan ka Achanak se Aamna-Saamna ho jaata hai…..Jo uske andar jeete huye……Aatmbal ko daanwadol kar jaati hai…….Aisi sththi Insaan ke liye sabse mushqil hoti hai……Agar yahan par uski ummeedo ko lambe samay tak Aage badhane ka koi maarg usse naa mile……toh Insaan galat raasto ki taraf bhi Agrsar ho sakta hai.

Kai baar Insaan Niraasha ke gart mein itna gehra doob jaata hai……..Ki uski sabhi Gyaat-Agyaat……Jeevit-mrit…har tarah ki ichcha se uska Sampark poori tarah se toot jaata hai……Uske saamne ka saara jeevan usse Shoonya dikhayi dene lagta hai…….Aisi sthithi aane par usse pata hi nahin hota ki usse kya karna hai…….aur kaun si Disha uske liye Hitkaari rahegi…..jahan woh jaaye.

Ichcha Roopi maala mein choti-choti….Ichchao ke Moti Jodkar hi….Jeevan ko Aage badhaya jaata hai.

Ichahayein bhi insaan ko Aage badhane mein tabhi kaargar hoti hain…..Jabki Insaan ki jeevan-Oorza sakaratmak soch par aadharit ho…….Kyunki Nakaratmak Soch…….Ichacha-shkati par tike Jeevanko ussi tarah se khatam kar deti hai….jaise Deemak lagi lakdi khatam hoti hai.

Aadhunik Jeevan-shaili mein “Dishaheen vyakti”…. ki Avastha sabse khatarnaak hoti hai…….woh khud ka hi dushman ban sakta hai.

Kisi Insaan ko aisi sthithi se Nikaalne ke kuch hi kaarak hain…….Paarivaarik sahara…….Paristhitiyon ka swayammev Parivartan…..ya Ukt Insaan ke Andar unn Vipreet paristhitiyo se ladne….usse badalne ki ichchashakti ka sheeghra sanchaar.

Uparokt 3 kathno mein sirf Aakhiri hi…..Poori tarah se Insaan ke apne haath mein hota hai……..Ki woh uss raaste par chalne laayak ban sakta hai athva nahin….uprokt Marg Mushqil avashya hai parantu Kinchit bhi Asambhav nahin.

Sansaar mein Karoodo Jeevan Vidyamaan hain…..Jinse Insaan ka paraspar Aamna-Saamna hota rehta hai……Har Insaan mein dono tarah ki Sakaraatmak athva Nakaraatmak Oorzaao ka prasphutan hamesha hota rehta hai……. Sakaraatmak Oorza ko hi graham karna lambe aur khushhaal jeevan ki Kunzi hai.

Sakaraatmak aur Nakaraatmak dono tarah ki jeevan-Oorzaayein humaare charo taraf ke vaatavaran mein sadaiv Vidyamaan rehti hain……..Aur hamesha babarabar Maatra mein humaare shareero mein pravesh karne ke liye Sadaiv uddelit rehti hain…….Humaara praayas hona chahiye ki sadaiv Sakaraatmak Oorza ko hi shareer Aatmsaat kare.

Sakaraatmak Oorza ko bhi shareer tabhi Grahan kar paata hai……jabki uska Ek-Ek Romchidra khula hua ho…Arthaat Shareer mein poori Shudhta ho……Chahe woh Baahri ho.. athva Aantarik….Shareer ki kaarya-shaili ko chalane mein sabse Mahtvapoorna hai Mastishk……(Arthaat Brain).

Mastishk hi Ichhao ke Rokthaam ka Kendra hai……..Yahi Unhe Apne Vash mein rakhta hai……Unki Avadhi par sanyam ka baandh banata hai……Kyunki ichchao ka arth Jeevan ka Poshan karna hota hai…….Jeevan ko Ghulaam banana nahin.

Ataiv ichchayein Paida kariye…….aur Unhe sakaraatmak oorzaao ke saath paraspar sangathit karte huye Apne jeevan path par Aage Agrasar hote rahiye.