...is "Celebrating (un)Common Creativity!" Fan fiction, artworks, extreme genres & smashing the formal "Fourth wall"...Join the revolution!!! - Mohit Trendster

Tuesday, August 24, 2010

White Candy

Main, yahan garmi ki chuttiyan manane aaya tha, Socha tha, iss gaon mein aa kar, Shehar ki bhaag - daud se do pal ka sukh milega.

"Katiya, mere kamre mein saanp hai."

"Babu, ji yahan har jagah saanp hi saanp hain, ghabraiye mat, woh Bargad ka ped dekh rahe hain na, yahan ke log us ped ki daalon, par, 'Sapole' chodte hain, Shubh maana jaata hai."

Kaise log hain yeh? Ped par saanp chodte hain, Uski pooja karte hain, Mendhekon ki chamdi sukha kar khaate hain, aur Ghante Waale Shaitan ko maante hain.

"Sab, darwaje, band kar lo, Ghante Waale Shaitan ke aane ka waqt ho gaya, Babu aap mere saath aa jaao, Ghante Waale Shaitan ne dekh liya toh khopdi kaat lega."

Veham, Andhvishvas, Kori Bakwaas, hai yeh, Yeh sab insaan ke andar ke Darr ka kamaal hai, jo ek parchayi mein bhi, shaitaan dekh leta hai, Main yahaan aa kar iss Veham ko maan toh nahi saka, Par apni lat zaroor chod di.

Mujhe, raat ko 12 baje, Charas lene ki Lat hai, Thakaan door ho jaati hai, Aaj bhi main wohin kar ke bahar nikla.

"Mera dimaag, andhere mein doob raha hai, haath-pair sunn pad rahe hain, Ghant Waala Shaitan, ke paas se madhur dhun, aa kar, Saanpon ko bhi, Nashedi sa kar raha hai...Katiya, mujhe Bacha, Saanp mujhe Das........"

"Kaha tha na Babu, Ghante Waala Shaitaan hai, Tumne apni laash khud hi yahaan taang di."

No comments:

Post a Comment